meri
taswir main rang aur kisi ka to nahi
gher len mujhko sab ak main tamasha to nahi
zindagi
tujhse har ik sans pe samajhuta karun
shauq jine ka hai mujhko magar itaa to nahi
ruh
ko dard mila dard ko ankhen na mili
tujhko mahsus kiya hai tujhe dekha to nahi
sochte
sochte dil dubne lagta hai mera
zahan ki tah main 'Muzaffar' koi dariya to nahi