mana
k musht-e-khak se barhkar nahi hun main
lekin hawa k raham-o-karam par nahi hun main
insan
hun dharakte huye dil pe hath rakh
yun dubkar na dekh samundar nahi hun main
chehre
pe mal raha hun siyahi nasib ki
aina hath main hai sikander nahi hun main
galib
teri zamin main likhi to hai gazal
tere kad-e-sukhan k barabar nahi hun main