shola
hun bharakne ki guzarish nahi karta
sach munh se nikal jata hai koshish nahi karta
girti
hui diwar ka hamdard hun lekin
charjte hue suraj ki parastish nahi karta
mathe
k pasine ki mahak aye to dekhen
wo khun mere jism main gardish nahi karta
hamdardi-e-ahbab
se darta hun 'Muzaffar'
main zakhm to rakhta hun numaish nahi karta