niyat-e-shauq
bhar na jaye kahin
tu bhi dil se utar na jaye kahin
aj
dekha hai tujhe der k bad
aj ka din guzar na jaye kahin
na
mila kar udas logon se
husn tera bikhar na jaye kahin
arzu
hai k tu yahan aye
aur phir umr bhar na jaye kahin
ji
jalata hun aur ye sochta hun
rayegan ye hunar na jaye kahin
ao
kuch der ro hi len 'Nasir'
phir ye dariya utar na jaye kahin