wo
dil nawaz hai nazar shanas nahi
mera ilaj mere charagar k pas nahi
tarap
rahe hain zaban par kai sawal magar
mere liye koi shayan-e-iltamas nahi
tere
ujalon main bhi dil kanp kanp uthta hai
mere mizaj ko asudagi bhi ras nahi
kabhi
kabhi jo tere qurb main guzre the
ab un dinon ka tasawwur bhi mere pas nahi
guzar
rahe hain ajab marhalon se dida-o-dil
sahar ki as to hai zindagi ki as nahi
mujhe
ye dar hai k teri arzu na mit jaye
bahut dinon se tabiyat meri udas nahi