kisi
kali ne bhi dekha na ankh bhar k mujhe
guzar gai jars-e-gul udas kar k mujhe
main
so raha tha kisi yad k shabistan main
jaga k chor gaye qafile shahar k mujhe
main
ro raha tha muqaddar ki sakht rahon main
ura k le gaya jadu teri nazar ka mujhe
main
teri dard ki tugyaniyon main dub gaya
pukarte rahe tare ubhar ubhar k mujhe
tere
firaq ki raten kabhi na bhulengi
maze mile inhin raton main umr bhar k mujhe
zara
si der thaharne de ai gam-e-duniya
bula raha hai koi bam se utar k mujhe
phir
aj ai thi ik mauj-e-hawa-e-tarab
suna gai hai fasane idhar-udhar k mujhe