dil
dharakne ka sabab yad aya
wo teri yad thi ab yad aya
aj
mushkil tha sambhalna ai dost
tu musibat main ajab yad aya
din
guzra tha bari mushkil se
phir tera wada-e-shab yad aya
tera
bhula hua paiman-e-wafa
mar rahenge agar ab yad aya
phir
kai log nazar se guzre
phir koi shahar-e-tarab yad aya
hal-e-dil
ham bhi sunate lekin
jab wo rukhsat hue tab yad aya
baith
kar saya-e-gul main 'Nasir'
ham bahut roye wo jab yad aya