mumkin
nahi mata-e-sukhan mujh se chin le
go bagban ye kanj-e-chaman mujh se chin le
gar
ehtaram-e-rasm-e-wafa hai to ai Khuda
ye ehtaram-e-rasm-e-kohan mujh se chin le
manzar
dil-o-nigah k jab ho gaye udas
ye be-faza ilaqa-o-tan mujh se chin le
gulrez
meri nalakashi se hai shakh shakh
gulchin ka bas chale to ye fan mujh se chin le
sinchi
hain dil k khun se main ne ye kyariyan
kis ki majal mera chaman mujh se chin le