dukh
ki lahar ne chera hoga
yad ne kankar phenka hoga
aj
to mera dil kahta hai
tu is waqt akela hoga
mere
chume hue hathon se
auron ko khat likhta hoga
bhig
chalin ab rat ki palkain
tu ab thak kar soya hoga
rel
ki gahri siti sun kar
rat ka jangal gunja hoga
shahar
k khali steshan par
koi musafir utra hoga
angan
main phir chiriyan bolen
tu ab so kar utha hoga
yadon
ki jalti shabnam se
phul sa mukhra dhoya hoga
moti
jaisi shaql banakar
aine ko takta hoga
sham
hui ab tu bhi shayad
apne ghar ko lauta hoga
nili
dhundhli khamoshi main
taron ki dhun sunta hoga
mera
sathi sham ka tara
tujh se ankh milata hoga
sham
k chalte hath ne tujh ko
mera salam to bheja hoga
pyasi
kurlati kunjun ne
mera dukh to sunaya hoga
main
to aj bahut roya hun
tu bhi shayad roya hoga
'Nasir'
tera mit purana
tujh ko yad to ata hoga