apni
dhun main rahta hun
main bhi tere jaisa hun
o
pichli rut k sathi
ab k baras main tanha hun
teri
gali main sara din
dukh k kankar chunta hun
mujh
se ankh milaye kaun
main tera aina hun
mera
diya jalaye kaun
main tera khali kamra hun
tu
jiwan ki bhari gali
main jangal ka rasta hun
apni
lahar hai apna rog
dariya hun aur pyasa hun
ati
rut mujhe royegi
jati rut ka jhonka hun