zaban
sukhan ko, sukhan bankpan ko tarsega
sukhankada meri tarz-e-sukhan ko tarsega
naye
pyale sahi tere daur main saqi
ye daur meri sharab-e-kohan ko tarsega
mujhe
to khair watan chor k aman na mili
watan bhi mujh se garib-ul-watan ko tarsega
unhin
k dam se farozan hain millaton k charag
zamana sohbat-e-arbab-e-fan ko tarsega
badal
sako to badal do ye bagban warna
ye bag saya-e-sard-o-saman ko tarsega
hawa-e-zulm
yahi hai to dekhna ek din
zamin pani ko suraj kiran ko tarsega