safar-e-manzil-e-shab
yad nahi
log rukhsat huye kab yad nahi
dil
main har waqt chubhan rahti thi
thi mujhe kis ki talab yad nahi
wo
sitara thi k shabnam thi k phul
ik surat thi ajab yad nahi
aisa
uljha hun gam-e-duniya main
ek bhi khwab-e-tarab yad nahi
bhulte
jate hain mazi k dayar
yad ayen bhi to sab yad nahi
ye
haqiqat hai k ahbab ko ham
yad hi kab the k ab yad nahi
yad
hai sair-e-charagan "Nasir"
di k bujhne ka sabab yad nahi