phir
sawan rut ki pawan chali tum yad aye
phir patton ki pazeb baji tum yad aye
phir
kunjen bolin ghas k hare samandar main
rut ai pile phulon ki tum yad aye
phir
kaga bola ghar k sune angan main
phir amrat ras ki bund pari tum yad aye
pahle
to main chikh k roya aur phir hansne laga
badal garja bijli chamaki tum yad aye
din
bhar to main duniya k dhandhon main khoya raha
jab diwaron se dhup dhali tum yad aye