tere
milne ko bekal ho gaye hain
magar ye log pagal ho gaye hain
baharen
lek aye the jahan tum
wo ghar sunsan jangal ho gaye hain
yahan
tak barh gaye alam-e-hasti
k dil k hausale shal ho gaye hain
kahan
tak tab laye natawan dil
k sadme ab musalsal ho gaye hain
nigah-e-yas
ko nind a rahi hai
musarda purashk bojhal ho gaye hain
unhen
sadiyon na bhulega zamana
yahan jo hadse kal ho gaye hain
jinhen
ham dekh kar jite the 'Nasir'
wo log ankhon se ojhal ho gaye hain