kuch
to ehsas-e-ziyan tha pahle
dil ka ye hal kahan tha pahle
ab
to manzil bhi hai khud garm-e-safar
har qadam sang-e-nishan tha pahle
safar-e-shauq
k farsang na puch
waqt beqaid-e-makan tha pahle
ye
alag bat k gam ras hai ab
is main andesha-e-jan tha pahle
yun
na ghabraye huye phirte the
dil ajab kunj-e-aman tha pahle
ab
bhi tu pas nahi hai lekin
is qadar dur kahan tha pahle
dere
dale hain bagolon ne jahan
us taraf chashm-e-rawan tha pahle
ab
wo dariya na basti na wo log
kya khabar kaun kahan tha pahle
har
kharaba ye sada deta hai
main bhi abad makan tha pahle
kya
se kya ho gai duniya pyare
tu wahin par hai jahan tha pahle
ham
ne abad kiya mulk-e-sukhan
kaisa sunsan saman tha pahle
ham
ne bakhshi hai khamoshi ko zuban
dard majbur-e-fugan tha pahle
ham
ne roshan kiya mamur-e-gam
warna har simt dhuan tha pahle
gam
ne phir dil ko jagaya 'Nasir'
khanabarbad kahan tha pahle