teri
khushbu ka pata karti hai
mujh pe ehsan hawa karti hai
shab
ki tanhai main ab to aksar
guftagu tujh se raha karti hai
dil
ko us rah pe chalna hi nahin
jo mujhe tujh se juda karti hai
zindagi
meri thi lekin ab to
tere kahne main raha karti hai
us
ne dekha hi nahin warna ye ankh
dil ka ehwal kaha karti hai
beniyaz-e-kaf-e-dariya
angusht
ret par nam likha karti hai
sham
parte hi kisi shakhs ki yad
kucha-e-jan main sada karti hai
mujh
se bhi us ka hai waisa hi suluk
hal jo tera ana??? karti hai
dukh
hua karta hai kuch aur bayan
bat kuch aur hua karti hai
abr
barse to inayat us ki
shakh to sirf dua karti hai
masla
jab bhi utha chiragon ka
faisala sirf hawa karti hai