kuch
faisala to ho k kidhar jana chahiye
pani ko ab to sar se guzar jana chahiye
har
bar aeriyon pe gira hai mera lahu
maqtal main ab ba-tarz-e-digar jana chahiye
kya
chal saknge jin ka faqat mas'la ye hai
jane se pahle rakht-e-safar jana chahiye
sara
jwar-bhata mere dil main hai magar
ilzam ye bhi chand k sar jana chahiye
jab
bhi gaye azab-e-dar-o-bam tha wahi
akhir ko kitni der se ghar jana chahiye
tohamat
laga k man pe jo dushman se dad le
aise sukhanfarosh ko mar jana chahiye