barish
hui to phulon k tan chak ho gaye
mausam k hath bhig k saffak ho gaye
badal
ko kya khabar k barish ki chah main
kitne buland-o-bala shajar khak ho gaye
jugnu
ko din k waqt pakarne ki zid karen
bache hamare ahad k chalak ho gaye
lahra
rahi hai barf k chadar hata k ghas
suraj ki shah pe tinak bhi bebak ho gaye
suraj
dimag log bhi iblag-e-fikr main
zulf-e-shab-e-firaq k pechak ho gaye
jab
bhi garib-e-shahar se kuch guftagu hui
lahaje hawa-e-sham k namnak ho gaye
sahil
pe jitne abguzida the sab k sab
dariya k rukh badalte hi tairak ho gaye