rukne
k samay guzar gaya hai
jana tera ab thahar gaya hai
rukhsat
ki ghari khari hai sar par
dil koi do-nim kar gaya hai
matam
ki faza hai shahar-e-dil main
mujh main koi shakhs mar gaya hai
bujhne
ko hai phir se chashm-e-nargis
phir khwab-e-saba bikhar gaya hai
bas
ik nigah ki thi us ne
sara chehara nikhar gaya hai