apne
honton par sajana chahta hun
a tujhe main gungunana chahta hun
koi
ansu tere daman par gira kar
bund ko moti banana chahta hun
thak
gaya main karte-karte yad tujhko
ab tujhe main yad ana chahta hun
cha
raha hai sari basti mein andhera
raushani ho ghar jalana chahta hun
akhri
hichki tere zanon pe aye
maut bhi main shayrana chahta hun