apne
hathon ki lakiron mein basale mujhko
main hun tera nasib apna bana le mujhko
mujhse
tu puchne aya hai wafa k mani
ye teri sada dili mar na dale mujhko
main
samandar bhi hun moti bhi hun gotazan bhi
koi bhi nam mera le k bulale mujhko
tune
dekha nahin aine se age kuch bhi
khudaparasti mein kahin tu na ganwale mujhko
kal
ki bat aur hai main ab sa rahun ya na rahun
jitna ji chahe tera aj satale mujhko
khud
ko main bant na dalun kahin daman-daman
kar diya tune agar mere hawale mujhko
main
jo kanta hun to chal mujh se bachakar daman
main hun gar phul to jure mein sajale mujhko
main
khule dar k kisi ghar ka hun saman pyare
tu dabe paon kabhi aa k churale mujhko
tark-e-ulfat
ki qasam bhi koi hoti hai qasam
tu kabhi yad to kar bhulanewale mujhko
bada
phir bada hai main zahar bhi pi jaun "Qateel"
shart ye hai koi bahon mein sambhale mujhko