angrai
par angrai leti hai rat judai ki
tum kya samjho tum kya jano bat meri tanhai ki
kaun
siyahi ghol raha tha waqt k bahte dariya mein
main ne ankh jhuki dekhi hai aj kisi harjai ki
wasl
ki rat na jane kyun israr tha unko jane par
waqt se pahle dub gae taron ne bari danai ki
urte
urte as ka panchi dur ufaq mein dub gaya
rote rote baith gai awaz kisi saudai ki