sadma
to hai mujhe bhi ki tujhse juda hun main
lekin ye sochta hun k ab tera kya hun main
bikhra
para hai tere hi ghar mein tera wajud
bekar mahfilon mein tujhe dhundta hun main
main
khudkashi k jurm ka karta hun aitaraf
apne badan ki qabr mein kabse gara hun main
kis-kiska
nam laun zaban par k tere sath
har roz ek shakhs naya dekhta hun main
na
jane kis ada se liya tune mera nam
duniya samajh rahi hai k sab kuch tera hun main
le
mere tajurbon se sabak ae mere raqib
do char sal umr mein tujhse bara hun main
jaga
hua zamir wo aina hai "Qateel"
sone se pahale roz jise dekhta hun main