milkar
juda hue to na soya karenge ham
ek dusre ki yad mein roya karenge ham
ansu
chalak chalak ke satayenge rat bhar
moti palak palak mein piroya karenge ham
jab
duriyon ki ag dilon ko jalayegi
jismon ko chandani mein bhigoya karenge ham
gar
de gaya daga hamein tufan bhi 'Qateel'
sahil pe kashtiyon ko duboya karenge ham