ye
mojaza bhi muhabbat kabhi dikhaye mujhe
k sang tujhpe gire aur zakhm aye mujhe
wo
maharaban hai to iqrar kyun nahin karta
wo badguman hai to sau bar azmaye mujhe
main
apne paon tale raundata hun saye ko
badan mera hi sahi dopahar na bhaye mujhe
main
ghar se teri tamanna pahan k jab niklun
barhana shahar mein koi nazar na aye mujhe
wo
mera dost hai sare jahan ko hai malum
daga kare wo kisi se to sharm aye mujhe
main
apni zat mein nilam ho raha hun 'Qateel'
gam-e-hayat se kah do kharid laye mujhe