wo
dil hi kya tere milne ki jo dua na kare
main tujh ko bhul k zinda rahun Khuda na kare
rahega
sath tera pyar zindagi bankar
ye aur bat meri zindagi wafa na kare
ye
thik hai nahin marta koi judai mein
Khuda kisi se kisi ko magar juda na kare
suna
hai usko mohabbat duayen deti hai
jo dil pe chot to khaye magar gila na kare
zamana
dekh chuka hai parakh chuka hai use
"Qateel" jan se jaye par iltaja na kare