yaro
kisi qatil se kabhi pyar na mango
apne hi gale k liye talwar na mango
gir
jaoge tum apne masiha ki nazar se
mar kar bhi ilaj-e-dil-e-bimar na mango
khul
jayega is tarah nigahon ka bharam bi
kanton se kabhi phul ki mahkar na mango
sach
bat pe milta hai sada zahar ka pyala
jina hai to phir jine ka izhar na mango
us
chiz ka kya zikr jo mumkin hi nahin hai
sehra mein kabhi saya-e-diwar na mango