tum
pucho aur main na bataun aise to halat nahin
ek zara sa dil tuta hai aur to koi bat nahin
kis
ko khabar thi sanwale badal bin barse ur jate hain
sawan aya lekin apni qismat mein barsat nahin
mana
jiwan mein aurat ek bar mohabbat karti hai
lekin mujhko ye to bata de kya tu aurat zat nahin
khatm
hua mera afsana ab ye ansu ponch bhi lo
jis mein koi tara chamke aj ki rat wo rat nahin
mere
gam-gin hone par ahbab hain yon hairan "Qateel"
jaise main patthar hun mere sine mein jazbat nahin