kiya
hai pyar jise hamne zindagi ki tarah
wo ashna bhi mila hamse ajnabi ki tarah
bara
k pyas meri us ne hath chor diya
wo kar raha tha murawwat bhi dillagi ki tarah
kise
khabar thi baregi kuch aur tariki
chupega wo kisi badli mein chandani ki tarah
kabhi
na socha tha hamne "Qateel" us ke liye
karega ham pe sitam wo bhi har kisi ki tarah