charag
dil k jalao k eid ka din hai
tarane jhum k gao k eid ka din hai
gamon
ko dil se bhulao k id ka din hai
khushi se bazm sajao k eid ka din hai
huzur
us ki karo ab salamti ki dua
sar-e-namaz jhukao k eid ka din hai
sabhi
murad ho puri har ek sawali ki
dua ko hath uthao k eid ka din hai