dukh
dard ki saugat hai dunya teri kya hai
ashkon se bhari rat hai dunya teri kya hai
kuch
log yahan nur-e-sahar dhundh rahe hain
tarik si ik rat hai dunya teri kya hai
paband-e-mashiyat
hai tanaffus bhi nazar bhi
ik jazya-e-lamhat hai dunya teri kya hai
taqdir
k chehre ki shikan dekh raha hun
aina-e-halat hai dunya teri kya hai
majruh-e-taqaddus
hai taqaddus ki haqiqat
rudad-e-kharabat hai dunya teri kya hai
"Sagar"
mein chalkate hain samawat k israr
saqi ki karamt hai dunya teri kya hai