dayar-e-gair
mein kaise tujhe sada dete
tu mil bhi jata to tujhe ganwa dete
tumhin
ne ham ko sunaya na apna dukh warna
dua wo karte k ham asman hila dete
hamein
ye zom raha ab k wo pukarenge
unhen ye zid thi k har bar ham sada dete
wo
tera gam tha k tasir mere lahje ki
k jis ko hal sunate use rula dete
tumhen
bhulna hi awwal to dastaras mein nahin
jo ikhtiyar bhi hota to kya bhula dete
tumhari
yad ne koi jawab hi na diya
mere khayal k ansu rahe sada dete
samton
ko main ta-umr kosta Syed
wo kuch na kahte magar honth to hila dete