ja
kahyio un se nasim-e-sahar mera chain gaya meri nind
gai
tumhen meri na mujh ko tumhari khabar mera chain gaya
meri nind gai
na
haram mein tumhare yar pata na surag dair mein hai milta
kahan ja k dekhun main jaun kidhar mera chain gaya meri
nind gai
ai
badshah-e-khuban-e-jahan teri mohni surat pe qurban
k main ne jo teri jabin pe nazar mera chain gaya meri
nind gai
hui
bad-e-bhari chaman mein ayan gul buti mein baqi rahi
na fiza
meri shakh-e-ummid na lai sanwar mera chain gaya meri
nind gai
ai
barq-e-tajalli bahar-e-Khuda na jala mujhe hijr mein
shamma sa
meri zist hai misl-e-chirag-e-sahar mera chain gaya
meri nind gai
kehta
hai yahi ro ro k "Zafar" meri ah-e-rasa ka
hua na asar
teri hijr mein maut na ai abhi mera chain gaya meri
nind gai
yahi
khana tha shero k aj "Zafar" meri ah-e-rasa
mein hua na asar
tere hijr mein maut na ai magar mera chain gaya meri
nind gai