hamne
duniya mein aa k kya dekha
dekha jo kuch so khwab-sa dekha
hai
to insan khak ka putla
le k pani ka bul-bula dekha
khub
dekha jahan k khuban ko
ek tujh sa na dusara dekha
ek
dam par hawa na bandh habab
dam ko dam bhar mein yan hawa dekha
na
huye teri khak-e-pa ham ne
khak mein ap ko mila dekha
ab
na dije "Zafar" kisi ko dil
ki jise dekha bewafa dekha