tum
na aye ek din ka wada kar do din talak
ham pare tarpa kiye do do pahar do din talak
dard-e-dil
apna sunta hun kabhi jo ek din
rahta hai us naznin ko dard-e-sar do din talak
dekhte
hain khwab mein jis din kisu ki chashm-e-mast
rahte hain ham do jahan se bekhabar do din talak
gar
yaqin ho ye hamein ayega tu do din k bad
to jiyen ham aur is ummid par do din talak
kya
sabab kya wasta kya kam tha batlaiye
ghar se jo nikle na apne tum "Zafar" do din
talak